Sab sahi hone se pehle,
Bohot kuch galat hota hai.
Bas issi aas ke sahare,
Yeh dil nirantar chalta hai.
Aage na jaane kaun si
Duvidhayein aayengi,
Par mukhh mein Hari ka naam liye,
Hum karte jayenge apna kaam.
Hari hi jaanein unki Maya,
Yeh kaisa unka khel hai,
Choot raha jo peeche sab,
Na jaane kahan ka mel hai.
Jab chhod chuke the saari umeed,
Tab Hari ne badli apni chaal.
Phir se ek nayi aas liye,
Hum chal pade badal ke haal.
Kitni baar hamare dhairya ki
Woh aur lenge pariksha?
Kab tak aakhir chalti rahegi
Hum bhakton ki yeh shiksha?
Kabhi toh mann unka pighlega,
Kabhi toh woh din aayega,
Jab pakad ke haath woh humko bhi,
Iss bhavsagar se paar lagayega. 🙏🙏
No comments:
Post a Comment