Bheed hai khayaalon ki
Ek akela mann
Kheenchta disha, disha
Tanaav be-rehem
Nochti, kharonchti ye soch zakhm de
Koi mere man ko laga do marham
So jaa re
Re mann, tu ghum-sum, gup-chup
So jaa re
Re mann, tu ghum-sum, gup-chup
So jaa re
Khayaalon se na darr
Kal ki chhorh de fikar
Khayaalon se na darr
Kal ki chhorh de fikar
Aaj neend ke andheron mein
Kho jaa re
Re mann, tu ghum-sum, gup-chup
So jaa re
Re mann, tu ghum-sum, gup-chup
So jaa re
So jaa re
Dil mein jo
Sehma-sehma darr hai ya malaal hai
Dil mein jo
Sehma-sehma darr hai ya malaal hai
Sach kahun
Jo bhi hai wo sirf ek khayaaal hai
Tere hi tassvuron ka khokhla kamaal hai
Muskuraa
Muskuraa
Kyun dard ki ladiyaan pirota re?
Khol de
Tu iss ghadi sukoon ka jharokha re
Khayaalon se na darr
Kal ki chhorh de fikar
Khayaalon se na darr
Kal ki chhorh de fikar
Aaj neend kе andheron mein
Kho jaa re
Rе mann, tu ghum-sum, gup-chup
So jaa re
So jaa re
Ke palkon ki doh khidkiyaan tu haule band kar le
Ke dhadkanon ki thapkiyon se tu zara sanvar le
Saanson ki sun le lori
Palne ki jaise dori
Tu hi saathi tera
Khud se hi tu thodaa pyaar aur dulaar
Kar jaa re
So jaa re
Re mann, tu ghum-sum, gup-chup
So jaa re
Re mann, tu ghum-sum, gup-chup
So jaa re
Khayaalon se na darr
Kal ki chhorh de fikar
Khayaalon se na darr
Kal ki chhorh de fikar
Aaj neend ke andheron mein
Kho jaa re
Re mann, tu ghum-sum, gup-chup
So jaa re
No comments:
Post a Comment