Kuch pal esse bhi the jab aanshu ruk hi nahi rahe the
Maa hi thi akeli jisne dard ko samjha tha
Pucha tha ki agar tu bole toh saari umar
Tujhe esse hi rehne du..
Maan toh bhar aaya tha par fir najar
Mere papa aur bhai aaye
Najar aaya toh bas mayush chehre ..
Kuch pal esse bhi the jab meine kudh se pucha
Kya mein jindagi bhar sab ko rulaugi..
Fir bas aanshu ruk se gaye
Pata tha kuch sahi nahi hai par mushkura
Kar aage chal diye
Fir kabhi aanshu nahi bahe..
Sannata sa tha, kuch bhi sahi nahi tha
Par hum sabse hashke mil liye
No comments:
Post a Comment